Pages

Zyada sy Zyada like [+g] kr ky post ko Google pr recomment kry .Shukria

Tuesday 1 April 2014

Dard Ki Neeli Ragein



i-dream-of.gif













Chataanon sy




Purple Butterfly 1

Bohut Aasaan tha











































































Bohut aasaan tha uski mohabbat ko dua kerna

Bohut mushkil hai bandon ko magar khuda kerna


Kahan tak khenchna deewar par sadah lakeeron ko

Tumhari yaad mein kab tak unhein beithey gin’na kerna


Najane kis liye seekha tareeqa ye hawaon ne

Mere kamrey mein san’atey zaberdasti bhara kerna


Lahoo ki tarah rag rag mein jo peiham dar behte hai

Zameen ki teh mein le jaaye tau kya uska gil’la kerna


Mohabbat kerne walon ki kahani bas yehi tau hai

Kabhi naina mein bhar jana kabhi dil mein racha kerna


Haqeeqi daastano ka fasana bhi koi likhey

Mohabbat kerne walon ke liye naina dua kerna






Chai hui thi



































girl-candles.gif


Basi Hai yaad koi




































www.funchoice.blogspot.comPurple Butterfly 1
Basi hai yaad koi aa ke mere kajal mein
Lipat gaya hai adhora khayaal aanchal mein
Mein seep hon so mujhe apne dil mein rehne do
Gohar bana nahein kerte hain eik do pal mein
Usi charaagh ki lau se ye dil dharakta hai
Jaley rakhti hon jisko shab E musalsal mein
Tapak rahe hain dar O baam se mere aansoo
Chupe huey thay abhi tak wo jaise badal mein
Mein zindagi ke liye phool chun’na chahti hon
Kahein udaas na ho wo khizaan zadah kal mein
Khizaan ka daur hai lekin kisi kichahat se
Dharak rahi hai bahar eik eik kounpal mein
Mein titliyon ki tarah beqarar hon Naina
Udaasiyon ko liye khwahishon ke jungle mein


Sunday 30 March 2014

Baam O Dar










      peacock1.gif





Aur usey jo yaad




Abr Bhi Jheel Par



Abr Bhi Jheel Par Barasta Hai

Kheit Ik Boond Ko Tarasta Hai

Dard Seh Kar Bhi Milti Hai Taskeen

Wo Shikanja Kuch Aise Kasta Hai

Uski Marzi Pe Hai Urooj O Zawaal

Bakht Saaz Aasman Pe Basta Hai

Ehtiyatann Zara Sa Dor Raho

Ab Tau Har Eik Shakhs Dasta Hai

Mein Bhi Joher Shanaas Hon Jaanan

Dil Ka Sauda Bhi Koi Sasta Hai

Reit Ban Kar Bikhartey Hain Naina

Meri Aahon Se Thal Jhulasta Hai

Blue Sparkle Butterfly 1Flower blue 12

Aasman Ke Rangon

be-happy.jpg
book-135.gif


 Sent by Priya
aasman-ke-rangon-mein-wordpress
          
Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa
Dhiyaan mein hai phir chehra eik mah-tabi sa
Phir hawa chali shayad bhole bisre khwabon ki
Dil mein utth raha hai kuch shoq aztarabi sa
Tum ajeeb qatil ho, rooh qatal kerta ho
Daaghte ho phir maatha chaand ki rakabi sa
Harf pyar kw saare aa gaye thay aankhon mein
Jab liya tha haathon mein chehra wo kitabi sa
Kaum keh gaya hai maut tootney se aa-ti hai
Phool ne bikher ke baagh ker diya gulabi sa
Manzaron ne kirnon ka perahan jo pehna hai
Meine us ka rakha hai naam aaf-tabi sa
Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha
Jab se mausam aaya hai naina mein sharabi sa
******************

Aankh chupke se btati ha

Aankh chupke se bata’ti hai jise be’khwabi

Us ki jaanib se chali aaye koi be’taabi


Sheeshe ko torne walo abhi pather dhondo

Mujhko mahtab ne laa di hai meri shaadabi


Eik mausam hai ke utra hai nazare leker

Jaan’lewa thi paharon pe jami barfaabi


Kyon zamanat ko uttha lai mein apne jugnu

Kaun dekhe ga meri raqs bhari paa’yabi


Munharif tau nahein un se mein anaa ki khaatir

Lutf letey hain wo de de ke mujhe teizaabi


Talkhiyon ka mere dil ka nahein koi naata

Chotay se ghar mein rishton ki bari seiraabi


Khauf se pheil gaye hain mere naina lekin

Khush’bayani se mit’tani hai mujhe zehraabi

Aadhi Raat ky sapny

i-dream-of.gif




Aadhi raat ke sapne

Aadhi raat ke sapne shayad jhote thay

Ya phir pehli baar sitare totey thay

Jis din sheher se bhaag ke sheher mein pohnchi thi

bhaag bhari ke bhaag usi din phoote thay

Mazhab ki bunyaad pe kya taqseem hui

Hamsayon ne hamsaye hi loote thay

Shokh nazar ki chutki ne nuqsaan kiya

Haathon se chaey ke bertan tote thay

Oorrh ke phirti thi jo naina saree raat

Us resham ki shaal pe yaad ke boote thay

star-silver-2girl-book.gif

Rasme Karokari

Rasme Karokari red