Pages

Zyada sy Zyada like [+g] kr ky post ko Google pr recomment kry .Shukria

Sunday 30 March 2014

Aasman Ke Rangon

be-happy.jpg
book-135.gif


 Sent by Priya
aasman-ke-rangon-mein-wordpress
          
Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa
Dhiyaan mein hai phir chehra eik mah-tabi sa
Phir hawa chali shayad bhole bisre khwabon ki
Dil mein utth raha hai kuch shoq aztarabi sa
Tum ajeeb qatil ho, rooh qatal kerta ho
Daaghte ho phir maatha chaand ki rakabi sa
Harf pyar kw saare aa gaye thay aankhon mein
Jab liya tha haathon mein chehra wo kitabi sa
Kaum keh gaya hai maut tootney se aa-ti hai
Phool ne bikher ke baagh ker diya gulabi sa
Manzaron ne kirnon ka perahan jo pehna hai
Meine us ka rakha hai naam aaf-tabi sa
Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha
Jab se mausam aaya hai naina mein sharabi sa
******************

Aankh chupke se btati ha

Aankh chupke se bata’ti hai jise be’khwabi

Us ki jaanib se chali aaye koi be’taabi


Sheeshe ko torne walo abhi pather dhondo

Mujhko mahtab ne laa di hai meri shaadabi


Eik mausam hai ke utra hai nazare leker

Jaan’lewa thi paharon pe jami barfaabi


Kyon zamanat ko uttha lai mein apne jugnu

Kaun dekhe ga meri raqs bhari paa’yabi


Munharif tau nahein un se mein anaa ki khaatir

Lutf letey hain wo de de ke mujhe teizaabi


Talkhiyon ka mere dil ka nahein koi naata

Chotay se ghar mein rishton ki bari seiraabi


Khauf se pheil gaye hain mere naina lekin

Khush’bayani se mit’tani hai mujhe zehraabi